Saturday 10 October 2015

☆ Aye Logon Tum Par Hajj Farz Kiya Gaya ….

☆  Aye Logon Tum Par Hajj Farz Kiya Gaya ….
» Mehfum-e-Hadees: Hazrat-e-Abdullah Ibne Abbas(RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai –
Jabh Hazrat-e-Ibrahim (Alaihay Salam) Khaana-e-Kaaba Ki Tameer Muqammal Kar Liye Tou Allah Ta’ala Ki Bargaah Me Marooza Kiye –
‘Ilaahi Maine Tameer Muqammal Kar Li Hai!’
Tabhi Allah Ta’ala Ne Hukm Farmaya – ‘Logon Mein Hajj Ka Ailaan Karo” Unhone Arz Ki Ilaahi Meri Aawaz Kaise Pahuchegi.?
Allah Ta’ala Ne Irshad Farmaya – ‘Aawaz Dena Tumhara Kaam Hai Aur Usey Pahuchana Humare Zimme Hai’.
Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Arz Kiya – ‘Ilaahi Mai Kin Kalimaat Se Ailaan Karu.?’
Allah Ta’ala Ne Farmaya – Iss Tarah Karo ‘Aye Logon Tum Par Hajj Farz Kiya Gaya Mu’azzaz Aur Mukkaram Ghar Kaabatullah Ka Hajj Tum Par Farz Kiya Gaya’.
Toh Zameen Aur Aasmaan Ke Darmiyan Jitni Makhlooq Thi Sab Ne Aapki Aawaz Suni Yahi Wajah Hai Ke Tum Dekhte Ho Ke Hujjaj Zameen Ke Koney Koney Se Labbaik Labbaik Kehte Huwe Hajj Ke Liye Aate Hai.
– (Al Mustadrak Al Saheeheen Lil Haakim Hadees No 3421)
• Note : Hajj Ek Maali Ibadat Hai Jo Tamaam Sahibe Nisab Musalamno Par Farz Hai, Lihaja Jo Hazraat Istehat Rakhte Hai Unka Apni Puri Zindagi Me Kum Se Kum Ek Baar Ka Hajj Lazmi Hai.

Friday 9 October 2015

☆ Ilm Ki Ahmiyat: Part-15

  ☆  Ilm Ki Ahmiyat: Part-15
Ek Mashoor Aur Maruf Shakhsiyat *Ms. Carleton Fiorina* Jo Ke H.P. Ki CEO Thi, Aur Iss Khatun Ne Ek Speech Di Thi Jo HP Ki All Worldwide Company Managers Ki Meeting Thi, Usmey Yeh Khatun CEO Thi Uss Zamane Me ..
Yeh Speech Usne Di Hai 26 September 2001 Ko ,.. Yaani 11 Sept 2001 Ko World Trade Center Ka Wakiya Hua Tha Jispar Musalmano Par Ilzam Par Lagaye Ja Rahe They ,..
Unki Speech English Me Thi Hum Uska Tarjuma Yaha Batane Ki Koshish Karte Hai ,..
Yeh Speech Bohot Himmat Bohot Jasarat Ki Cheez Hai. Jaha Musalman Apne Aap Ko Musalman Kahne Se Yaha Sharma Rahe They Jo Wakiya Waha Hua, Ye Khatun Jo Isayi Hai Isne Twin Tower Ke Blast Ke 2 Haftey Baad Ek Takreer Me Dunya Se Ailan Kiya Aur Kaha Aur Usne Shuruwat Yun Ki –
» Tarjuma– @[156344474474186:]
* Ek Zamana Tha Ek Qoum Gujri Hai Jo Duniya Me Sabse Behtareen Qoum Thi, (Abhi Usne Naam Nahi Liya)
* Yeh Wo Qoum Thi Jisne Ek Aisi Hukumat Qayam Ki Jo Ek Barre Aazam Se Dusre Barre Azam Aur, Ek Pahadi Ilakey Se Dusre Ilakey Tak.,, Jangalaat Aur Tamam Digar Zameenat Inke Paas Thi ,..
* Inke Hukumat Ke Andar Hazaro Aur Lakho Log Rehte They Jo Mukhtalif Majahib Ke Man’ne Wale They ,..
* Iski Zubaan Dunia Ki Aalmi Zaban Ban Gayi Thi.. Aur Bohot Se Qoumo Ke Bich Me Tallukat Qayam Karne Ki Vajah Ban Gayi Thi Iski Zubaan ,..
* Iske Andar Jo Fouje Thi Wo Kayi Mukhataleef Mumalikat Se They.. Aur Jo Hifazat Inhone Di Aisi Hifazat Duniya Me Is Se Pahle Nahi Dekhne Ko Mili Kahi ,..
* Aur Tijarat South America Se Lekar China Tak Aur Tamam Bich Ke Ilako Tak Faili Hui Thi ,..
* Yeh Jo Qoum Thi Jis Cheez Se Chalti Thi Wo Inke Khayalat They, Inke Inkheshafat They, Inke Inventions They ,..
* Inke Engineers Ne Aisi Imaarate Banayi Jo Zameen Ke Kashish (Kuwwat) Ke Khilaf They.. Yaani Badi Badi Imaarate Tameer Karte They ,..
* Inke Mathematicians Jo They Inhone Algebra Aur Algorithm Jaise Subjects Ki Buniyad Daali Jo Aagey Chalkar Computer Ke Banane Aur Encryption Ki Technology Ijad Ho Saki ,..
* Inke Jo Tabib Doctors They Jo Insani Jismo Ko Janchtey Aur Naye-Naye Ilajat Nikaltey Unn Bimariyo Aur Kamjoriyo Ke ,..
* Inke Jo Ilm-e-Falkiyat Rakhne Wale Log They Wo Gour Karte Zameen Aur Aasman Me Aur Taaro Ko Naam Detey Aur Yahi Jarya Bani Aaj Ke Dour Ke Satellite Aur Digar Space Exploration Ka Jo Aaj Hum Inkashafat Kar Rahe Hai Uski Vajah Bani ,..
* Inke Jo Musaniff (Writers) They Wo Kitabe Likhtey They, Kahaniya Likhtey They,.. Kahaniya Jo Jasarat, Himmat, Taqat Quwwat Ki, Mohabbat Ki ,…
* Inke Jo Shayar They Wo Mohabbat Ke Baarey Me Shayriya Likhtey, Yeh Wo Zamana Tha Jab Dusre Iske Kahne Ke Liye Bohot Jyada Khoufjada Hua Karte They ,..
* Jab Dusre Log Naye Inkashafat Ke Baarey Me Sochana Bhi Unke Liye Khouf Tha Yeh Qoum Tou Soch Pe Jiya Karti Thi ,..
* Jab Duniya Iss Cheez Par Aa Chuki Thi Ke Pichley Qoumo Ka Ilm Mita Diya Jaye Iss Qoum Ne Wo Ilm Baaki Rakha Aur Logon Tak Pohchaya (Yaani Isayat Ne Jab Soch Liya Ke Jitna Pichla Greek Knowledge Tha Wo Mita Diya Jaye Tou Wo Ilm Musalmano Ne Ba’Salamat Logon Tak Pohchaya)
* Bohot Saari Cheeze Jo Aaj Ki Hum Duniya Me Dekh Rahe Hai, Istemal Kar Rahe Hai, Yeh Bohot Saari Cheeze Uss Qoum Ki Deyn Hai Jiske Baare Me Mai Baat Kar Rahi Hu, Wo “Islamic World” Hai.. Islami Qoum Hai,. Musalman Hai ,. Jisne 8 vi Sadi Se Lekar, 16 vi Sadi Tak Duniya Ko Mashal-e-Raah Dikhayi..
Aur Iske Andar Usmani Khalifa, Aur Bagdad,. Aur Shaam(Syriya) Aur Kahera, Misr Ki Libraries, Kutubkhane Aur Acche Hukumraah Jaise Ke “Suleiman The Magnificent” Bhi Moujdu They ..
Aagey Wo Kahti Hai Ke –
* Bohot Saari Cheeze Jo Humko Mili Hai Iss Qoum Se, Haala Ki Hum Jantey Hai, Fir Bhi Hum Inke Ahasanmand Nahi Hai ,..
Aur Aagey Wo Kehti Hai Ke – “Inki Yeh Deyn Aaj Humari Jindagi Ka Hissa Hai, Aur Technology Industries Aaj Wajud Me Nahi Hoti! Agar Musalman Scientist Na Hotey..”
****
Kyunki Uska IT (Information Technology) Se Talluk Tha Wo HP Ki CEO Thi Usney Sirf Yeh Bataney Ke Liye Ke Aaj Hum Iss Company Ke Jarye Jiska Hum Fayda Utha Rahe Hai Yeh Kisi Ka Ahsan Hai Hum Par Jis Qoum Ne Hume Diya Hai, Wo Musalman They …
# Tou Andaza Lagayiye Kis Jasarat Se Usne 2 Hafte Baad Twin Tower Ke Blast Ke Baad Musalman Ka Naam Lena Buri Baat Samjhi Ja Rahi Thi Usi Mahoul Me America Me Iss Nonmuslim Khatun Ne Speech Di Aur Kaha Ke Yeh Qoum Tou Insaniyat Ke Fayde Ke Liye Aayi Hai …
» Sabak: Tou Log Hume Jantey Hai,.. Log Hume Pahchan Rahe Hai, Siway Iske Ke Hum So Rahe Hai.. Jabki Log Tou Humko Jagana Chahtey Hai.. Yah Baat Yahi Tou Bata Rahi Hai Ke Maazi(Past) Me Humare Aaba-O-Azdad Ne Bohot Saare Tajurbaat,.. Bohot Saare Inkhsafat, Bohot Saare Karnaame Kiye! Chahe Wo Deeni Uloom Me Ho Ya Duniyawi! Dono Me Maharat Hasil Kiye They..
* Aaj Musalmano Ko Jarurat Hai Ke Hum Datt Jaye Iss Cheez Par, Jo Talibe Ilm School Jatey Hai, Yeh Ilm Bhi Iss Niyat Se Hasil Kare Ke Iska Bhi Ajar Aur Sawab Miley ,..
* Aur Saath Me Waliden Jaha Duniyawi Ilm Sikhatey Hai, Dini Ilm Ko Bhi Utni Hi Balki Us’se Jayda Tarji Dey,..
Ke Meri Aulaad Jaha Jabardast Hafize Quraan Ho, Wahi Ek Jabardast Duniyawi Kisi Funn Ka Maahir Bhi Ho..
* Aaj Ummat Ko Aise Logon Ki Jarurat Hai Jo Deen Me Maharat Rakhtey Hai Wo Duniya Me Bhi Maharat Rakhe..
* Tou Hume Agar Duniya Me Rehna Hai Aur Deen Par Chalna Hai Tab Bhi Humko Yeh Duniyawi Ilm Jan’na Hai.. Isliye Ke Iske Bagair Jina Bhi Mushkil Hai Humara,, Sahi Ilm Tak Pohach Nahi Payenge , Kya Humare Khilaf Hai Aur Kya Haq Me Wo Samjh Nahi Payenge.. Aur Fir Mohtaaj Ho Jaynge , Kamtar Hoi Jayenge, Baddtar Ho Jaynge,,. Aur Jo Halat Ho Rahi Hai Behrahaal Hum Sabhi Dekh Rahe Hai.. Yeh Ilm Ko Chorrne Ka Natija Hai Deeni Aur Duniyawi .. Jiski Wajah Se Aaj Humpar Qoume Tasallud Kar Rahi Hai, Chahe Jis Bhi Naam Se Ho…
* Ilm Nafa Hi Nafa Deta Hai,.. Ilm Ka Kabhi Koi Nuksan Nahi Hai Yaad Rakhiye ,..
Kharch Kijiye Iske Upar Agar Paisa Lagta Hai.. Khub Maal Iske Liye Lutayiye, Isliyeke Ye Jayaz Jagah Jaha Aap Apna Maal Luta Sakte Hai..
Jis Tarha Se Humare Aaba-O-Azdad They Ke Deen Aur Duniya Dono Me Wo Maharat Rakhte They, Aur Aise Aise Kaarnamo Ko Anjam Diya Karte They Jisko Dekhkar Aaj Duniya Ungiliya Daba Leti Hai Apne Daanto Me.. Ke Kya Wakay Me Musalman Aise They? Ke Kya Wakay Me Musalmano Ka Yeh Ilm Tha,.
* Tou Lihaja Humare Yeh Aslaf Humare Liye Namuna Hai,.. Humko Yeh Dono Ilm Ko Wapas Usi Jagah Lakar Usi Tareeke Se Hasil Karna Hai,. Fir Insha’allah!! Wohi Zamana , Wohi Khushiya, Wohi Tamam Cheeze Humari Jindagi Me Wapis Lout Kar Aaynegi Jo Humari Deyn Thi Insaniyat Ko …
* Beharhaal Ilm Ki Ahmiyat Ko Samjhey Isko Jaaney Aur Isko Khub Hasil Kare ,..
Isi Post Ke Sath Hum Iss Unwaan Topic Ko Pura Karenge ,..
# Aakhir Me Allah Rabbul Izzat Ser Dua Hai Ke –
# Allah Ta’ala Hum Parhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufik Dey,…
# Hum Tamam Ko Apni Mukaddas Kitab Quraan Majid Ko Padhna Samjhna Aur Iss Par Amal Karna Sikhaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

☆ Kisi Muslman Ko Kafir Na Kaho ….

☆  Kisi Muslman Ko Kafir Na Kaho ….
» Mahfum-e-Hadees: Ibn Umar (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jo Shakhs Apney (Musalman) Bhai Ko Kafir Keh Kar Pukare
Tou Dono Me Se Ek Par Kufr Aa Jayega
Agar Wo Shakhs Jisko Usney Pukara Wo Kafir Hai Tou Khair(Kufr Uss Par Rahega)
Warna Pukarney Waley Par Laut Aayega”.
– (Sahih Muslim, Vol 1, 316 : @[156344474474186:])
# Sabaq: Ye Baat Bilkul Wajeh Hai Ke –
Hum Nahi Jantey Koun Kufr Par Marega Ya Kisko Allah Ta’ala Taubah Ki Taufiq Dega aur Imaan Ke Haalat me Duniya se Utha Liya Jayega ,…
Ellah Ke Jinka Kufr Qurano-Hadees me Wajeh Kiya Gaya (Jaisa Abu Lahab, Abu Jahal aur Digar Dushmane Deen) Wo Yakinan Kafir They …
*Lekin Beharhaal Jo Log Kufr Par Aaj Zindagi Ji Rahe Hai ,..
*Ya Kisi Momin Ke Koi GairSharayi Amal Ko Dekhkar Uske Kufr Ka Andesha Hojaye ,..
Fir Bhi Hume Unpar Kufr Ka Ilzam Nahi Lagana Chahiye ,..
*Kyunki Hum Nahi Jantey Allah Kisko, Kab Aur Kaise Hidayat Dey-Dey ,..
*Lihaja Momin Apne Sifat Par Amal Karte Hue Har Shakhs Ke Talluk Se Husn Gumaan Rakhta Hai,
Fir Chahe Koi Muslaman Ho Ya Gairmuslim ,..
*Hidayat Dena Tou Rabbul Izzat Ka Zimma Hai ,..
*Wo Kisko, Kaise Hidayat Dey Humari Soch Se Bilkul Bhi Bahar Hai ,..
*Aur Mumkin Hai Ke Sakht se Sakht Dushmanane Deen Bhi Imaan Lakar Taqwe me Humse Aagey Badh Jaye ,..
*Lihaja Hume Bohot Ahtiyat Karna Chahiye Kisi Par Kufr Ka Ilzam Lagatey Hue ,..
♥ Allah Rabbul Izzat se Dua hai ke –
# Tamam Kism Ke Fitno Se Humare Iman Ki Salamati Ata Farmaye ,..
# Hum Tamam Ko Hidayat De Aur Sirate Mustakim par Chalaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

☆ Ghusse Ko Qabu Me Karne Ka Nabvi Tarika ,…

☆  Ghusse Ko Qabu Me Karne Ka Nabvi Tarika ,…
» Mahfum-e-Hadees: Syedna Sulaiman Bin Surrad (RaziAllahu Anhu) Farmate Hai Ke,
Mai Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Khidmat Me Baitha Hua Tha
Aur(Karib Hee) 2 Aadmi Gaali-Galoch Kar Rahe They ,..
*Unme Se Ek Ka Muuh Surk (Laal) Aur Gardan Ki Raghe Phul Gae Thi ,..
*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya:
Mujhe Ek Aisa Kalima Maloom Hai! Ke Agar Ye Shakhs Usey Padh Ley Tou Uska Gussa Jata Rahega!!
Yaani Agar Ye – “Auzu Billahi Minash Shaitanir Rajim” Padle (Tou Iska Gussa Jata Rahega)
– (Sahih Bukhari: H#6115)
*Note: Nagawaar Baat Par Gussa Aana Insan Ki Fitrat Hai ,..
Aur Ussi Ghusse Ko Pee Jana Momin Ki Khubi …

Monday 31 August 2015

☆ कुरान में Orbits, Nebula aur Big Bang theory का ज़िक्र: …

♥ “सूर्य चन्द्रमा को अपनी ओर खींच नहीं सकता और ना दिन, रात से आगे निकल सकता है. ये सब एक कक्षा (orbit) में अपनी गति के साथ चल रहे है.”
– अल-कुरान 36:40
• दिन के रात से आगे निकलने के शब्द देखिये, पृथ्वी से ऊंचाई पर जाकर देखा जाये तो इस दृश्य का इन्ही शब्दों में उल्लेख किया जा सकता है की दोनों एक दुसरे का पीछा कर रहे है. इसके अतरिक्त आयत में “यसबाहून” शब्द है जिसका अर्थ है की वो अपनी गति के साथ चल रहे हैं अर्थात आयत में बता दिया गया है की सूर्ये चन्द्रमा और पृथ्वी अपनी-अपनी धुरी (Axis) पर घूम रहे है और इस गति के साथ-साथ अपनी-अपनी कक्षों (Orbits) में भी घूम रहे है.
• बीसवी शताब्दी में आकर विज्ञान (Science) ने बताया की सूर्य अपनी धुरी (Axis) पर एक चक्कर 25 दिन में पूरा करता है और अपनी कक्षा (Orbits) में 125 मील प्रति सेकंड (7,20,000 प्रति किलोमीटर प्रति घंटे) की गति से चलते हुए एक चक्कर 25 करोड़ वर्ष में पूरा करता है. आधुनिक विज्ञानिक शोध ने अब यह बताया हैं की सूर्य व चन्द्रमा की जीवन अवधि एक दिन समाप्त हो जाएगी और यह की सूर्य एक विशेष दिशा में भी बहा चला जा रहा है.
• आज विज्ञान ने उस स्थान को निश्चित भी कर दिया है जहा सूर्य जाकर समाप्त होगा. उसे Solar Apex का नाम दिया गया हैं और सूर्य उसकी ओर 12 मील प्रति सेकंड की गति से बढ़ रहा है. – @[156344474474186:]
अब ज़रा बीसवी सदी के इन अनुसंधानों को कुरान की दो आयतों में देखे
♥ क्या तुमने इस पर दृष्टि नहीं डाली की अल्लाह रात को दिन में और दिन को रात में प्रवेश करता है. सूर्य और चन्द्रमा को काम में लगा रखा है. हर एक निश्चित काल तक ही चलेगा (और अल्लाह जब ऐसा सर्वशक्तिमान और सर्वज्ञानी है तो) अल्लाह तुम्हारे सारे कर्मो की जानकारी भी रखता है.
– अल-कुरान 31:29
इस आयत में एक निश्चित समय तक सूर्य और चन्द्रमा की जीवन का उल्लेख किया गया है और अब सूर्य के एक विशिष्ट स्थान की ओर खिसकने का वर्णन –
♥ “और एक निशानी यह भी है की सूर्य अपने लक्ष्य की और चला जा रहा है. यह एक अथाह ज्ञान वाले (अल्लाह) का निश्चित किया हुआ हिसाब है”
– अल-कुरान 36:38
♥ यह आकाशगंगा, सर मंडल, तथा पृथ्वी व आकाश कैसे उत्पन्न हुए इस सम्बन्ध में कुरान ने संकेत दिया था –
“फिर उसने (अल्लाह ने) ध्यान किया और वो पहले धुंआ (Gasseous Mass) था”
– अल-कुरान 41:41
♥ क्या इनकार करने वाले नहीं देखते की आकाश और पृथ्वी प्रारंभ में एक थे फिर हमने उन्हें अलग-अलग किया और हर जीव की उत्पत्ति का आधार पानी को बनाया? क्या अब भी वो ईमान नहीं लायेंगे?”
– अल-कुरान 21:30
उपरोक्त दोनों आयते Nebula और विशाल विस्फोट सिध्धांत (big-bang theory) की ओर संकेत करती है. यह भी विशिष्ट रूप से नोट कर लें की इन सब आयतों में ईश्वर ने इनकार करने वालो को ईमान लाने का निर्देश ये कहते हुए दिया हैं की हमारे इन चमत्कारों को देख कर भी तुम क्यों ईमान नहीं लाते. 1400 साल पहले कोई व्यक्ति अपने सामान्य जीवन के अनुभवों पर आधारित साधारण सी कविता के रूप में लोगो के समक्ष प्रस्तुत करता तो उसमे चुनोती न होती की यह साधारण बाते नहीं, वरना ईश्वर का वो महान चमत्कार हैं जिन्हें देख कर तुम्हे ईमान लाना ही चाहिए.
*अल्लाह ने कुरान में फ़रमाया है –
♥ आसमानों और ज़मीन में जो कुछ है, उसे हमने तुम्हारे अधीन कर दिया है और इस तथ्य में उन लोगो के लिए निशानियाँ हैं जो चिंतन करते हैं.
– अल-कुरान 45:13

☆ Taweez Ki Haqeeqat ….

☆  Taweez Ki Haqeeqat ….
!!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
Taweez Ka Mas’ala Thik Waisa Hai Jaisa Ke, Kisi Doctor Ne Kisi Ko Uske Bimaari Ki Ilaz Ke Liye Prescription Par Kuchh Dawayi Ka Naam Aur Usko Lene Ka Tareeka Likh Diya, Aur Woh Uss Tareeke Ko Chhor Kar Uss Prescription Ko Hi Gaale Me Latka Liya, Aur Ye Samajh Baitha Ke Aise Hi Main Sifa Paa Sakta Hoo. – @[156344474474186:]
Aaiye Ab Dekhte Hai Sariyat Kya Kehti Hai…
♥ Al-Quraan: (Aye Rasool!) Aap Keh Do Ke Mere Liye Allah Hi Kafi Hai, Aur Bharosa Rakhne Wale Usi(Allah) Par Bharosa Rakhte Hai.
– (Surah 38 Az-Zumar, Ayat 38)
♥ Al-Quraan: (Aye Logon!) Agar Allah Tumhare Upar Koyi Takleef Dena Chahe, Tou Usko Koyi Hata Nahi Sakta, Aur Agar Wo Tumpar Khair Karna Chahe, Tou Koi Bhi Usko Radd Nahi Kar Sakta.
– (Suah 10 Yunus, Ayat 107)
* * * * *
» Mehfum-e-Hadees: Hazrate Abdullah-Bin-Aakim (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hain Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmayam –
“Man Alaqtan Tammimatan Faqad Ashrak” Jisne “Taweez” Latkai Usne Shirk Kiya.
– [Musnad Ahmad (4/156) No. 17458 and Mustadrak al-Haakim (4/243) No. 7513]
» Mehfum-e-Hadees: Hazrate Imraan-Bin-Hasen (Razi’Allahu Anhu) Se Rawayat Hai, Ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam)Ne Ek Aadmi Ke Hanth Me Pital Ka Bana Hua “Kadaa” Dekha Tou Daryaft Kiya: Ye Kya Hai?
Isne Jawab Diya Ke ‘Ye Kamzori Se Bachne Ke Liye Hai’
Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: ‘Isey Utaar Kar Phek Do! Isliye Ke Ye Kamzori Hi Me Ezafa Karega Aur Is Se Pahne Hue Teri “Wafat (Death)” Ho Gai Tou Tu Kabhi Kamyab Nahi Ho Sakta”
– (Musnad-e-Ahmad)
* * * * *
» Hazarte Huzaifa (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai, Ek Shakhs Ke Hath Par Ek Dhaga Dekha Jo Wo Bukhaar Ki Wazah Se Pehna Tha. Tou Usey Kaat Kar Fek Diya Aur Quraan Ki Yeh Ayat Tilawat Farmayi,
♥ Al-Quraan: “Zyadatar Log Allah Ke Upar Emaan Laney Ke Bawazood Mushrik Hai”
– (Surah 12 Yusuf, Ayat 106)
– (Ibne Abu Hatim, Kitabut Tawheed, Safa 38)
» Mehfum-e-Hadees : Abdullah Ibne Mas’ud (Razi’Allahu Anhu) Ne Farmaya Ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)Ne Farmaya –
“Taweez, Jhar-Foonk Sab Hi Shirk Hai”.
Ye Sunke Jainab (Razi’Allahu Anha) (Abdullah Ki Biwi) Ne Kaha, ‘Aap Ye Kya Keh Rahe Ho?’
*Allah Ki Qasam! Mere Aankh Ki Beemari Ke Waqt, Main Ek Yahudi Ke Paas Jati Thi Aur Wo Mujhe Taweez Deti Thi. Aur Uss Se Meri Beemari Dur Ho Jati Thi.
Tab Abdullah (Razi’Allahu Anhu) Ne Bataya – ‘Wo Tou Shaitani Aamal Tha. Dar’asal Shaitan Aapne Hath Se Tumhare Aankh Ko Daba Ke Rakhta Tha. Jab Yahudi Tumhe Taweez Pahenne Ko Detey, Tab Shaitan Wo Kaam Chhor Deta.
*Beshaq Tum Wohi Bayan Karo Jo Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Allahumma Rabbin Nas Azabal Ba’asa Asfi Anta Shafi La Shafi Illa Anta Shafi La-Yugadiru Sakma”
#Tarjuma: “Ya Allah Sarey Aalam Ka Rab, Taqleef Dur Karnewala, Shifa Ata Farma, Sirf Tu Hi Shifa Deney Wala Hai, Tere Bagair Koyi Shifa Dene Wala Nahi Hai, Aisi Shifa Ata Kar Takey Beemari Ek Dum Hi Na Rahe.
– (Abu Dawood, Vol 3, Hadees-485)
• Naseehat: Lihaza Imaanwalo Ko Chahiye Ki Unpar Aanewali Musibato Ko Masliyate Khudawandi Jaane Aur Sabr Wa Shukr Ada Karte Rahe Aur Apne Rab Se Sirate Mustakim Par Chalne Ki Dua Karte Rahe.
Allah Hume Haq Kehne, Sun’ne Aur Samajh Ke Saath Amal Ki Taufik Ata Farmaye..
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Aur Sabr Se Kaam Lo ,..

Aur Sabr Se Kaam Lo ,..
Ke Allah Sabr Karne Walo Ke Sath Hai,..
– [Surah (8) Ayat 46] – @[156344474474186:]
*Aaj Ikhtelaaf Me Kis Hadd Tak Hum Log Mulawwis Hai Beharhaal Bataney Ki Jarurt Bhi Nahi ,..
*Ek Musalaman Dusre Muslaman Ke Piche Namaz Bhi Ada Kar Ley –
Tou Nikah Tutney Ke Fatwe Tak Nikal Aatey Hai ..
(Wakiya Moujud Hai Kuch Saal Pahle Ka)
*Subhan’Allah!! Allah Reham Karey,…
*Aur Jab Media Ke Samne Mazak Banta Hai, Aur Koi Gairmuslim Humare Iss Bewakufana Amal Ko Allah Aur Uske Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Taalimat Par Nisbat Karke Tanz Karta Hai , Tab Hume Badi Sharm Aaney Lagti Hai ,.. Masha’Allah !!
‪# Sawaal‬ Tou Ye Hai Ke –
Hum Aisi Harkatey Karte Kyu Hai Pehle??
*Behahrhaal Baat Ko Samjhne Ki Koshish Kare Mere Azeezo !!
Aaj Ummat Zaleel Aur Khwar Mehaz Isiliye Ho Rahi Hai ,
Kyunki Humne Allah Aur Uske Rasool Ki Taalimat Ko Chor Diya !
*Jiska Natija Ye Hua Ke – 
Chando Ke Dhando Waley Mafadparast Logo Ne Apne Mafad Ke Liye Ummat Me Bohot Inteshar Failaye ,..
Aur Iska Fayda Dushmanane-Deen Ne Bakhubi Utha Liya Aur Utha Bhi Rahe Hai ,..
*Lihaja Hume Jarurat Hai Ke –
Baat Ko Samjhey ,.. Halaat Ko Samjhey ,.. Mouke Ki Nazakat Ko Samjhey ,…
Log Chah Rahe Hai Ke Hum Alag Ho ,.. Aur Hum Wakay Me Harkatey Kar Ke Bata Rahe Hai Ke Hum Alag Hai…
Allah Reham Karey ….
* * * * *
# Allah Ta’ala Hume Haq Sun’ne Samjhne
aur Uspey Amal Ki Taufiq Dey! !!
# Hum Sabko EK Aur Nek Banaye !!!
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!